[ADINSERTER AMP] [ADINSERTER AMP]

Tum Gagan Ke Chandrama Ho [ Raga Yaman ] Hindi Film Song, Sati Savitri (1964)

Tum Gagan Ke Chandrama Ho: Lyrics and Translation

Music Director: Laxmikant Pyarelal

Lyricist: Bharat Vyas
Movie / Album: Sati Savitri (1964)
Singer(s): Lata Mangeshkar, Manna Dey

Raga : Yaman-Kalyan

Tum Gagan Ke Chandrama Ho [ Raga Yaman ] Hindi Film Song, Sati Savitri (1964)

Tum gagan ke chandramaa ho, main dharaa kii dhuul huun

(You are the Moon of the sky, while I am the dust of the Earth.)

Tum praNay ke devtaa ho, main samarpit phuul huun

(You are the God of love, while I am a devoted flower.)

Tum ho puujaa main pujaarii, tum sudhaa main pyaas huun

(You are the prayer, I am the priest; you are nectar, I am thirst.)

Tum mahaasaagar kii siimaa, main kinaare kii lahar

(You are the boundary of the ocean, while I am a wave by the shore.)

Tum mahaasangiit ke svar, main adhuurii saa.ns bhar

(You are the notes of a profound melody, while I am an incomplete breath.)

Tum ho kaayaa main huun chhayaa, tum kshamaa main bhuul huun

(You are the body, I am the shadow; you are forgiveness, I am the sin.)

Tum ushaa kii laalimaa ho, bhor kaa sinduur ho

(You are the redness of daybreak, the vermillion of dawn.)

Mere praaNon kii ho gunjan, mere man kii mayuur ho

(You are the humming of my spirit, the peacock of my mind.)

Tum ho puujaa mai.n pujaarii, tum sudhaa mai.n pyaas huu.n

(You are the prayer, I am the priest; you are nectar, I am thirst.)

Tum gagan ke chandramaa ho, mai.n dharaa kii dhuul huu.n

(You are the Moon of the sky, while I am the dust of the Earth.)

*Female lines in green are sung by Lata Mangeshkar. Male lines in black are sung by Manna De.

[ Tum Gagan Ke Chandrama Ho (Raga Yaman) – Hindi Film Song – Sati Savitri (1964) ]

Media Links:

Karaoke:

https://youtu.be/CuyvnR_wugU

Read More:

 

Leave a Comment